chanaren wadiyon mein mushtail hain
chanāreñ vādiyoñ meñ mushta.il haiñ
dareġhā sarv abhī tak pā-ba-gil haiñ
uThe haiñ lāla-e-ḳhūnīñ-kafan phir
yahī sho.ale jahān-e-mustaqil haiñ
agar do-gām par manzil hai phir kyuuñ
chaTāneñ zindagī kī munfa.il haiñ
guloñ par be-dilī kā rañg kyuuñ hai
anādil sahn-e-gulshan meñ ḳhajil haiñ
rafū ho jā.eñge chāk-e-bahārāñ
ḳhizāñ ke ghaav dekho mundamil haiñ
khanakte hī rahe shīshe to kis kaam
laboñ tak jaam jā pahuñcheñ to dil haiñ
ga.e manzil-ba-manzil daar tak ham
marāhil ishq ke kab jāñ-gusil haiñ
mile haiñ ba.ad muddat ke to jaanā
bahut apne kiye par munfa.il haiñ
Thikāna kyā hai aise dostoñ kā
muqābil haiñ na mere muttasil haiñ
chanaren wadiyon mein mushtail hain
daregha sarw abhi tak pa-ba-gil hain
uThe hain lala-e-KHunin-kafan phir
yahi shoale jahan-e-mustaqil hain
agar do-gam par manzil hai phir kyun
chaTanen zindagi ki munfail hain
gulon par be-dili ka rang kyun hai
anadil sahn-e-gulshan mein KHajil hain
rafu ho jaenge chaak-e-bahaaran
KHizan ke ghaw dekho mundamil hain
khanakte hi rahe shishe to kis kaam
labon tak jam ja pahunchen to dil hain
gae manzil-ba-manzil dar tak hum
marahil ishq ke kab jaan-gusil hain
mile hain baad muddat ke to jaana
bahut apne kiye par munfail hain
Thikana kya hai aise doston ka
muqabil hain na mere muttasil hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.