chand aansu sanbhaal rakkhe hain
chand aañsū sañbhāl rakkhe haiñ
aur ranj-o-malāl rakkhe haiñ
mohtasib aa tujhe dikhā.ūñ maiñ
maiñ ne bas dard paal rakkhe haiñ
zindagī ne chhupā ke dāman meñ
kaise kaise zavāl rakkhe haiñ
mujh ko uḌne kī aarzū hai bahut
sang us ne sañbhāl rakkhe haiñ
roz-e-mahshar ke intizār meñ huuñ
lab pe kitne savāl rakkhe haiñ
chaar din kī hai zindagī 'shāhid'
saañs is meñ muhāl rakkhe haiñ
chand aansu sanbhaal rakkhe hain
aur ranj-o-malal rakkhe hain
mohtasib aa tujhe dikhaun main
main ne bas dard pal rakkhe hain
zindagi ne chhupa ke daman mein
kaise kaise zawal rakkhe hain
mujh ko uDne ki aarzu hai bahut
sang us ne sanbhaal rakkhe hain
roz-e-mahshar ke intizar mein hun
lab pe kitne sawal rakkhe hain
chaar din ki hai zindagi 'shahid'
sans is mein muhaal rakkhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.