chand alfaz kuchh ahwal bacha rakhe hain
chand alfāz kuchh ahvāl bachā rakhe haiñ
ham ne do ek hī a.amāl bachā rakhe haiñ
pahle gaate the bajāte the havāoñ ke mizāj
ab to TuuTe hue sur-tāl bachā rakhe haiñ
uḌ ga.e husn-o-javānī ke parinde kab ke
haañ tasavvur meñ ḳhad-o-ḳhāl bachā rakhe haiñ
baiThā kartā thā kabhī aa ke jo taa.ir us ke
ik darīche ne par-o-bāl bachā rakhe haiñ
ek nādīda sanam bhī hai kahīñ tere sivā
us kī ḳhātir ye mah-o-sāl bachā rakhe haiñ
chand alfaz kuchh ahwal bacha rakhe hain
hum ne do ek hi aamal bacha rakhe hain
pahle gate the bajate the hawaon ke mizaj
ab to TuTe hue sur-tal bacha rakhe hain
uD gae husn-o-jawani ke parinde kab ke
han tasawwur mein KHad-o-KHal bacha rakhe hain
baiTha karta tha kabhi aa ke jo tair us ke
ek dariche ne par-o-baal bacha rakhe hain
ek nadida sanam bhi hai kahin tere siwa
us ki KHatir ye mah-o-sal bacha rakhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.