chand la-KHitab aankhen chand be-laqab chehre
chand lā-ḳhitāb āñkheñ chand be-laqab chehre
hasratoñ ke ā.īne be-hasab-nasab chehre
paare sābit-o-sālim ā.inoñ meñ haiñ jab ki
hote jaate haiñ āḳhir masḳh kis sabab chehre
pāniyoñ ne bil-āḳhir resha resha kar Daalā
aks-reziyāñ kab tak karte jāñ-ba-lab chehre
Duub jab ga.iiñ āñkheñ saath saath sūraj ke
nikle sair karne ko ghāTiyoñ se tab chehre
aañkh par na rakhte the kal kisī ko lekin ab
mausamoñ ke aage haiñ kaise bā-adab chehre
kaun ḳhush-nigāhī kā de subūt 'rahmānī'
ā.ina-gazīda haiñ aaj sab ke sab chehre
chand la-KHitab aankhen chand be-laqab chehre
hasraton ke aaine be-hasab-nasab chehre
pare sabit-o-salim aainon mein hain jab ki
hote jate hain aaKHir masKH kis sabab chehre
paniyon ne bil-aKHir resha resha kar Dala
aks-reziyan kab tak karte jaan-ba-lab chehre
Dub jab gain aankhen sath sath suraj ke
nikle sair karne ko ghaTiyon se tab chehre
aankh par na rakhte the kal kisi ko lekin ab
mausamon ke aage hain kaise ba-adab chehre
kaun KHush-nigahi ka de subut 'rahmani'
aaina-gazida hain aaj sab ke sab chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.