chand lamhat mein sadiyon ka maza le aaya
chand lamhāt meñ sadiyoñ kā maza le aayā
yā kahūñ baiThe-biThā.e hī balā le aayā
ḳhud ko uljhā ke zamāne ke masā.il meñ idhar
maiñ tirī yaad se apne ko bachā le aayā
aag se aag to lohe se kaTegā lohā
lo nayā zaḳhm purāne kī davā le aayā
ek taqsīr ki maiñ jis kī muāfī ke liye
har dafa ek na.ī aur sazā le aayā
surḳh āñkheñ liye vo apnī udhar lauT gayā
maiñ idhar apnā ruvāñsā sā galā le aayā
tujh ko pā kar bhī nadāmat meñ mare jaatā huuñ
ki kisī aur ke hisse kī vafā le aayā
chand lamhat mein sadiyon ka maza le aaya
ya kahun baiThe-biThae hi bala le aaya
KHud ko uljha ke zamane ke masail mein idhar
main teri yaad se apne ko bacha le aaya
aag se aag to lohe se kaTega loha
lo naya zaKHm purane ki dawa le aaya
ek taqsir ki main jis ki muafi ke liye
har dafa ek nai aur saza le aaya
surKH aankhen liye wo apni udhar lauT gaya
main idhar apna ruwansa sa gala le aaya
tujh ko pa kar bhi nadamat mein mare jata hun
ki kisi aur ke hisse ki wafa le aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.