chand lamhe jo intizar ke hain
chand lamhe jo intizār ke haiñ
karb ke aur intishār ke haiñ
shāḳh-e-gul yuuñ kabhī jhulastī nahīñ
ye karam mausam-e-bahār ke haiñ
jo diye TimTimā rahe haiñ abhī
mere ujḌe hue dayār ke haiñ
ab kahīñ kuchh dikhā.ī de kaise
saare manzar dhueñ ġhubār ke haiñ
kahāñ jā kar sakūñ talāsh karūñ
har jagah vaqt ḳhalfishār ke haiñ
vo kisī kaam ke nahīñ haiñ 'atā'
naam un ke faqat shumār ke haiñ
chand lamhe jo intizar ke hain
karb ke aur intishaar ke hain
shaKH-e-gul yun kabhi jhulasti nahin
ye karam mausam-e-bahaar ke hain
jo diye TimTima rahe hain abhi
mere ujDe hue dayar ke hain
ab kahin kuchh dikhai de kaise
sare manzar dhuen ghubar ke hain
kahan ja kar sakun talash karun
har jagah waqt KHalfishaar ke hain
wo kisi kaam ke nahin hain 'ata'
nam un ke faqat shumar ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.