chand lamhon mein ghubar-e-karwan rah jaega
chand lamhoñ meñ ġhubār-e-kārvāñ rah jā.egā
ḳhaak ho jā.ūñgā maiñ jal kar dhuāñ rah jā.egā
sham-e-mahfil raqs-e-bismil kā na hogā kuchh vajūd
anjuman meñ girya-e-nauha-e-girāñ rah jā.egā
kar ke hijrat duur sahrā meñ chale jā.eñge log
shahr meñ jalte makānoñ kā dhuāñ rah jā.egā
Dhāñp degā apnī chādar se mujhe gard-o-ġhubār
mere naqsh-e-pā kā dhuñdlā sā nishāñ rah jā.egā
mimbar-o-mehrāb ho jā.eñge suune ek roz
gumbad-o-mīnār par shor-e-azāñ rah jā.egā
chand lamhon mein ghubar-e-karwan rah jaega
KHak ho jaunga main jal kar dhuan rah jaega
sham-e-mahfil raqs-e-bismil ka na hoga kuchh wajud
anjuman mein girya-e-nauha-e-giran rah jaega
kar ke hijrat dur sahra mein chale jaenge log
shahr mein jalte makanon ka dhuan rah jaega
Dhanp dega apni chadar se mujhe gard-o-ghubar
mere naqsh-e-pa ka dhundla sa nishan rah jaega
mimbar-o-mehrab ho jaenge sune ek roz
gumbad-o-minar par shor-e-azan rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.