chand maKHsus anasir se chaman banta hai
chand maḳhsūs anāsir se chaman bantā hai
kitnī tarkīb se phūloñ sā badan bantā hai
tire hoñToñ kā tabassum tire ruḳhsār kā rang
kabhī jalva kabhī vahshat kabhī fan bantā hai
pheñk detā hai jo insān ba-zo'm-e-hastī
baad marne ke vahī parda kafan bantā hai
gardish-e-vaqt ko sahne kā salīqa ik din
inqalāb aane pe jiine kā chalan bantā hai
thoḌī miTTī se vafā farz kā paas amn kī chaah
in hī jazboñ ko milāne se vatan bantā hai
chand maKHsus anasir se chaman banta hai
kitni tarkib se phulon sa badan banta hai
tere honTon ka tabassum tere ruKHsar ka rang
kabhi jalwa kabhi wahshat kabhi fan banta hai
phenk deta hai jo insan ba-zo'm-e-hasti
baad marne ke wahi parda kafan banta hai
gardish-e-waqt ko sahne ka saliqa ek din
inqalab aane pe jine ka chalan banta hai
thoDi miTTi se wafa farz ka pas amn ki chah
in hi jazbon ko milane se watan banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.