Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand paband-e-salasil hue aazad ab ke

Abdur Rauf Urooj

chand paband-e-salasil hue aazad ab ke

Abdur Rauf Urooj

MORE BYAbdur Rauf Urooj

    chand pāband-e-salāsil hue āzād ab ke

    jaane dīvānoñ pe kyā aa.egī uftād ab ke

    jin yak-jehtī-e-ehsās thī ā.īn-e-junūñ

    haiñ vahī log to majmūa-e-azdād ab ke

    yuuñ uḌāyā gayā arbāb-e-mohabbat mazāq

    ho ga.e ham havas-e-nām meñ barbād ab ke

    ham ne bedārī-e-tahrīk-e-masarrat ke liye

    har rag-e-jāñ pe rakhā dashna-e-fariyād ab ke

    in fazāoñ meñ bujhe saikḌoñ ḳhurshīd magar

    ḳhair se chup haiñ shab-e-marg ke naqqād ab ke

    aur to kuchh na rahā ahl-e-vafā ke bas meñ

    nazr ko laa.e haiñ bhūlī huī ik yaad ab ke

    der se soch meñ hai ishrat-e-parvez 'urūj'

    jaane kis tarh uThe tesha-e-farhād ab ke

    chand paband-e-salasil hue aazad ab ke

    jaane diwanon pe kya aaegi uftad ab ke

    jin ki yak-jehti-e-ehsas thi aain-e-junun

    hain wahi log to majmua-e-azdad ab ke

    yun uDaya gaya arbab-e-mohabbat ka mazaq

    ho gae hum hawas-e-nam mein barbaad ab ke

    hum ne bedari-e-tahrik-e-masarrat ke liye

    har rag-e-jaan pe rakha dashna-e-fariyaad ab ke

    in fazaon mein bujhe saikDon KHurshid magar

    KHair se chup hain shab-e-marg ke naqqad ab ke

    aur to kuchh na raha ahl-e-wafa ke bas mein

    nazr ko lae hain bhuli hui ek yaad ab ke

    der se soch mein hai ishrat-e-parwez 'uruj'

    jaane kis tarh uThe tesha-e-farhad ab ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now