chand roz aur badan tu bhi Thikana hai mujhe
chand roz aur badan tū bhī Thikāna hai mujhe
rāsta chhoḌ ki jaldī meñ huuñ jaanā hai mujhe
maut hai dil ke dhaḌakne ke Thaharne kī dalīl
zindagī dil ke dhaḌakne kā bahāna hai mujhe
maiñ akelā huuñ kahāñ ho mirī āñkho aao
aaj ik ḳhvāb ke lāshe ko uThānā hai mujhe
paas bas ek kahānī hai sunāne ke liye
'umr-bhar ek kahānī ko sunānā hai mujhe
ai ḳhamoshī tirī dīvār kā kyā bigḌegā
jāntā huuñ ye magar shor machānā hai mujhe
dekhtā rahtā huuñ chehroñ meñ chhupe chehroñ ko
apnī tanhā.ī koī ā.ina-ḳhāna hai mujhe
chand roz aur badan tu bhi Thikana hai mujhe
rasta chhoD ki jaldi mein hun jaana hai mujhe
maut hai dil ke dhaDakne ke Thaharne ki dalil
zindagi dil ke dhaDakne ka bahana hai mujhe
main akela hun kahan ho meri aankho aao
aaj ek KHwab ke lashe ko uThana hai mujhe
pas bas ek kahani hai sunane ke liye
'umr-bhar ek kahani ko sunana hai mujhe
ai KHamoshi teri diwar ka kya bigDega
jaanta hun ye magar shor machana hai mujhe
dekhta rahta hun chehron mein chhupe chehron ko
apni tanhai koi aaina-KHana hai mujhe
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 76)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.