chand-roza janab hai duniya
chand-roza janāb hai duniyā
āḳhirat kā hijāb hai duniyā
tum agar saath ho to jannat hai
bin tumhāre 'azāb hai duniyā
tum haqīqat samajh rahe the ise
maiñ na kahtā thā ḳhvāb hai duniyā
paḌh na paao samajh na paao jise
ek aisā nisāb hai duniyā
jo kisī se sulajh na paayā hai
vo mo'amma janāb hai duniyā
chand-roza janab hai duniya
aaKHirat ka hijab hai duniya
tum agar sath ho to jannat hai
bin tumhaare 'azab hai duniya
tum haqiqat samajh rahe the ise
main na kahta tha KHwab hai duniya
paDh na pao samajh na pao jise
ek aisa nisab hai duniya
jo kisi se sulajh na paya hai
wo mo'amma janab hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.