chand tinke the jo anjum aashiyane ke liye
chand tinke the jo 'anjum' āshiyāne ke liye
barq un ko bhī chalī aa.ī jalāne ke liye
ārzūeñ hasrateñ va.ada o paimān-e-vafā
surḳhiyāñ kitnī milī haiñ ik fasāne ke liye
umr-bhar rote rahe ashkoñ se dāman tar rahā
umr-bhar tarsā kiye ham muskurāne ke liye
kuchh to karnā hī paḌegā ai hayāt-e-musta.ār
kārobār-e-zindagī 'anjum' chalāne ke liye
sher-goī kī mayassar hai farāġhat ab kise
dām-e-duniyā meñ phañse ham āb-o-dāne ke liye
chand tinke the jo 'anjum' aashiyane ke liye
barq un ko bhi chali aai jalane ke liye
aarzuen hasraten wada o paiman-e-wafa
surKHiyan kitni mili hain ek fasane ke liye
umr-bhar rote rahe ashkon se daman tar raha
umr-bhar tarsa kiye hum muskurane ke liye
kuchh to karna hi paDega ai hayat-e-mustaar
karobar-e-zindagi 'anjum' chalane ke liye
sher-goi ki mayassar hai faraghat ab kise
dam-e-duniya mein phanse hum aab-o-dane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.