chand yaaden hain baam-o-dar ke siwa
chand yādeñ haiñ bām-o-dar ke sivā
zehn meñ kuchh nahīñ khañDar ke sivā
sar bahut the jahān-e-fānī meñ
dar na thā koī tere dar ke sivā
sab saqīfa meñ nazr kar aa.e
apnī tārīḳh ko nazar ke sivā
sar meñ saudā thā Tik ke baiTh raheñ
pair meñ kuchh na thā safar ke sivā
ek shahr-e-ḳhatar se aage bhī
kuchh na thā shahr-e-pur-ḳhatar ke sivā
har baḌe shahr ke makānoñ meñ
aarzū kuchh nahīñ hai ghar ke sivā
chaliye sab tark kar diyā ham ne
ik tamannā-e-muḳhtasar ke sivā
maiñ bhī huuñ āb-o-ḳhāk kā putlā
kyā hai duniyā bhī bahr-o-bar ke sivā
tum samajhte the qāfila jis ko
bas vahāñ ham the dīda-var ke sivā
anjuman kā gumāñ thā jis pe vahāñ
thā vo kaun ek do nafar ke sivā
aañkh ke ḳhol meñ samātā kyā
ek insān kī nazar ke sivā
guftugū der tak rahī lekin
kuchh na thī baat agar magar ke sivā
vahāñ amboh-e-ġham meñ kaun na thā
sab hī the ek ham-safar ke sivā
yuuñ to manzil bhī thī irāda bhī
sāmne sab thā ik Dagar ke sivā
rāh-rau sab qadam qadam chhūTe
nahīñ ab koī rāhbar ke sivā
maiñ huuñ baaqī luTe hue ghar meñ
kyā milā un ko māl-o-zar ke sivā
chand yaaden hain baam-o-dar ke siwa
zehn mein kuchh nahin khanDar ke siwa
sar bahut the jahan-e-fani mein
dar na tha koi tere dar ke siwa
sab saqifa mein nazr kar aae
apni tariKH ko nazar ke siwa
sar mein sauda tha Tik ke baiTh rahen
pair mein kuchh na tha safar ke siwa
ek shahr-e-KHatar se aage bhi
kuchh na tha shahr-e-pur-KHatar ke siwa
har baDe shahr ke makanon mein
aarzu kuchh nahin hai ghar ke siwa
chaliye sab tark kar diya hum ne
ek tamanna-e-muKHtasar ke siwa
main bhi hun aab-o-KHak ka putla
kya hai duniya bhi bahr-o-bar ke siwa
tum samajhte the qafila jis ko
bas wahan hum the dida-war ke siwa
anjuman ka guman tha jis pe wahan
tha wo kaun ek do nafar ke siwa
aankh ke KHol mein samata kya
ek insan ki nazar ke siwa
guftugu der tak rahi lekin
kuchh na thi baat agar magar ke siwa
wahan amboh-e-gham mein kaun na tha
sab hi the ek ham-safar ke siwa
yun to manzil bhi thi irada bhi
samne sab tha ek Dagar ke siwa
rah-rau sab qadam qadam chhuTe
nahin ab koi rahbar ke siwa
main hun baqi luTe hue ghar mein
kya mila un ko mal-o-zar ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.