chand yaaden kabhi KHushiyan kabhi aansu ban kar
chand yādeñ kabhī ḳhushiyāñ kabhī aañsū ban kar
bārhā dil meñ chalī aatī haiñ ḳhushbū ban kar
kitnī hī yādeñ haiñ kyā tum ko batā.ūñ ai dost
raat meñ ab bhī chalī aatī haiñ jugnū ban kar
tajribe ziist ke vo apne batā.eñge kise
ūñche parbat pe jo jā baiThe haiñ sādhū ban kar
loriyāñ maañ kī mujhe yaad haiñ kuchh kuchh 'farhat'
dil pe chhā jaatī haiñ vo pyaar kā jaadū ban kar
chand yaaden kabhi KHushiyan kabhi aansu ban kar
barha dil mein chali aati hain KHushbu ban kar
kitni hi yaaden hain kya tum ko bataun ai dost
raat mein ab bhi chali aati hain jugnu ban kar
tajribe zist ke wo apne bataenge kise
unche parbat pe jo ja baiThe hain sadhu ban kar
loriyan man ki mujhe yaad hain kuchh kuchh 'farhat'
dil pe chha jati hain wo pyar ka jadu ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.