chand yaadon ke darmiyan hoga
chand yādoñ ke darmiyāñ hogā
terā qissa vahāñ bayāñ hogā
tere ehsās kā jo jaadū hai
merī ġhazloñ se vo ayaañ hogā
jis ne raushan karīñ merī rāteñ
vo mirā chāñd ab kahāñ hogā
aa ke ik baar dil meñ jhāñk mere
tū hī is meñ kahīñ nihāñ hogā
jab vo bichhḌegā mere dil kā ḳhuuñ
kaash phailā yahāñ vahāñ hogā
mujh se ġhazleñ udaas haiñ 'kāshif'
aaj phir dard rā.egāñ hogā
chand yaadon ke darmiyan hoga
tera qissa wahan bayan hoga
tere ehsas ka jo jadu hai
meri ghazlon se wo ayan hoga
jis ne raushan karin meri raaten
wo mera chand ab kahan hoga
aa ke ek bar dil mein jhank mere
tu hi is mein kahin nihan hoga
jab wo bichhDega mere dil ka KHun
kash phaila yahan wahan hoga
mujh se ghazlen udas hain 'kashif'
aaj phir dard raegan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.