chanda bola pichhli raat
chandā bolā pichhlī raat
aa jā pyāre charḳha kaat
ek ḳhayāl kā dūlhā hai
pīchhe lafzoñ kī bārāt
dil kā khel muqābil jaan
hañs kar maiñ ne khaa.ī maat
aaj milā aise koī
jaise bin bādal barsāt
ik duuje ko deñ ilzām
shāyad yuuñ badleñ hālāt
ḳhushiyāñ bhī yuuñ miltī haiñ
jaise nāzil hoñ āfāt
chanda bola pichhli raat
aa ja pyare charKHa kat
ek KHayal ka dulha hai
pichhe lafzon ki baraat
dil ka khel muqabil jaan
hans kar main ne khai mat
aaj mila aise koi
jaise bin baadal barsat
ek duje ko den ilzam
shayad yun badlen haalat
KHushiyan bhi yun milti hain
jaise nazil hon aafat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.