charagh aankh ki sab boliyan samajhte hain
charāġh aañkh kī sab boliyāñ samajhte haiñ
ye ham se pūchh jo aisī zabāñ samajhte haiñ
bahā ke le gayā sab ḳhadd-o-ḳhāl ahd-e-shabāb
ham ā.īne ko bhī āb-e-ravāñ samajhte haiñ
hameñ azal se mohabbat sikhā.ī jaatī hai
ham ahl-e-harf yahī ik zabāñ samajhte haiñ
jahāñ yaqīñ ke tajassus kī aañkh band na ho
use ilāqa-e-vahm-o-gumāñ samajhte haiñ
uThā chukā hai takallum tamām parde magar
ham an-kahī ko abhī darmiyāñ samajhte haiñ
tabāh kī ga.ī duniyāoñ kā ġhubār na ho
ham ahal-e-ḳhāk jise kahkashāñ samajhte haiñ
hamārā bojh kisī aur ne uThāyā nahīñ
to ham bhī kyā use bār-e-garāñ samajhte haiñ
charagh aankh ki sab boliyan samajhte hain
ye hum se puchh jo aisi zaban samajhte hain
baha ke le gaya sab KHadd-o-KHal ahd-e-shabab
hum aaine ko bhi aab-e-rawan samajhte hain
hamein azal se mohabbat sikhai jati hai
hum ahl-e-harf yahi ek zaban samajhte hain
jahan yaqin ke tajassus ki aankh band na ho
use ilaqa-e-wahm-o-guman samajhte hain
uTha chuka hai takallum tamam parde magar
hum an-kahi ko abhi darmiyan samajhte hain
tabah ki gai duniyaon ka ghubar na ho
hum ahal-e-KHak jise kahkashan samajhte hain
hamara bojh kisi aur ne uThaya nahin
to hum bhi kya use bar-e-garan samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.