charag apni thakan ki koi safai na de
charāg apnī thakan kī koī safā.ī na de
vo tīrgī hai ki ab ḳhvāb tak dikhā.ī na de
masarratoñ meñ bhī jaage gunāh kā ehsās
mire vajūd ko itnī bhī pārsā.ī na de
bahut satāte haiñ rishte jo TuuT jaate haiñ
ḳhudā kisī ko bhī taufīq-e-āshnā.ī na de
maiñ saarī umr añdheroñ meñ kaaT saktā huuñ
mire diyoñ ko magar raushnī parā.ī na de
agar yahī tirī duniyā kā haal hai mālik
to merī qaid bhalī hai mujhe rihā.ī na de
duā ye māñgī hai sahme hue muarriḳh ne
ki ab qalam ko ḳhudā surḳh raushnā.ī na de
charag apni thakan ki koi safai na de
wo tirgi hai ki ab KHwab tak dikhai na de
masarraton mein bhi jage gunah ka ehsas
mere wajud ko itni bhi parsai na de
bahut satate hain rishte jo TuT jate hain
KHuda kisi ko bhi taufiq-e-ashnai na de
main sari umr andheron mein kaT sakta hun
mere diyon ko magar raushni parai na de
agar yahi teri duniya ka haal hai malik
to meri qaid bhali hai mujhe rihai na de
dua ye mangi hai sahme hue muarriKH ne
ki ab qalam ko KHuda surKH raushnai na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.