charagh ban ke hawaon ki mezbani ki
charāġh ban ke havāoñ kī mezbānī kī
zamīn ham ne bahut terī pāsbānī kī
chukānī paḌtī haiñ aur vo bhī roz qistoñ meñ
'ajīb qīmateñ hotī haiñ mehrbānī kī
tumhāre dard se le kar hamāre aañsū tak
baḌī tavīl kahānī hai aag paanī kī
tamām rishtoñ meñ ik gāñTh paḌtī jaatī hai
havā.eñ chaltī haiñ zehnoñ meñ bad-gumānī kī
fazā ḳharāb hai lekin bahut ḳharāb nahīñ
bas ik zarā sī zarūrat hai sāvdhānī kī
jo Dor meñ bhī nahīñ thiiñ unhī patangoñ ne
havā milī to bahut baat āsmānī kī
charagh ban ke hawaon ki mezbani ki
zamin hum ne bahut teri pasbani ki
chukani paDti hain aur wo bhi roz qiston mein
'ajib qimaten hoti hain mehrbani ki
tumhaare dard se le kar hamare aansu tak
baDi tawil kahani hai aag pani ki
tamam rishton mein ek ganTh paDti jati hai
hawaen chalti hain zehnon mein bad-gumani ki
faza KHarab hai lekin bahut KHarab nahin
bas ek zara si zarurat hai sawdhani ki
jo Dor mein bhi nahin thin unhi patangon ne
hawa mili to bahut baat aasmani ki
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 94)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.