charagh-e-anjuman ko ye KHabar kya
charāġh-e-anjuman ko ye ḳhabar kyā
ki manzil kyā hai aur rasm-e-safar kyā
safar meñ fikr-e-rāhat is qadar kyā
sajā.e haiñ ye tum ne bām-o-dar kyā
nahīñ gardish meñ ab shams-o-qamar kyā
na badleñge mire shām-o-sahar kyā
ḳhulūs-e-ijz hai ik shart-e-sajda
kisī kā naqsh-e-pā kyā sañg-e-dar kyā
mashiyyat kār-farmā-e-do-ālam
to phir ye nek bad kyā ḳhair-o-shar kyā
baḌhī hai vaqt kī raftār kaisī
huī hai zindagānī muḳhtasar kyā
adā-e-shukr bhī lāzim hai 'at.har'
rahegā shikva-bar-lab umr bhar kyā
charagh-e-anjuman ko ye KHabar kya
ki manzil kya hai aur rasm-e-safar kya
safar mein fikr-e-rahat is qadar kya
sajae hain ye tum ne baam-o-dar kya
nahin gardish mein ab shams-o-qamar kya
na badlenge mere sham-o-sahar kya
KHulus-e-ijz hai ek shart-e-sajda
kisi ka naqsh-e-pa kya sang-e-dar kya
mashiyyat kar-farma-e-do-alam
to phir ye nek bad kya KHair-o-shar kya
baDhi hai waqt ki raftar kaisi
hui hai zindagani muKHtasar kya
ada-e-shukr bhi lazim hai 'athar'
rahega shikwa-bar-lab umr bhar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.