charagh-e-dagh dil-e-soKHta jo ho raushan
charagh-e-dagh dil-e-soKHta jo ho raushan
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
charāġh-e-dāġh dil-e-soḳhta jo ho raushan
patañg phir kahīñ āñkhoñ ko señktā na phire
jo ho tamāñcha-e-mauj-e-nasīm se āgāh
habāb sar pe liye kāsa-e-riyā na phire
kulāh-e-faqr pe nāzāñ huuñ maiñ badaulat-e-ishq
sar-e-niyāz pe mere kabhī humā na phire
ḳhayāl-e-ḳhvāb-e-adam gar na ho garebāñ-gīr
to aañkh muuñd ke yaañ koī bulbula na phire
na hove dīda-e-sub.h-e-vatan kabhū raushan
ġhubār-e-gor-e-ġharībāñ kabhū uḌā na phire
charagh-e-dagh dil-e-soKHta jo ho raushan
patang phir kahin aankhon ko senkta na phire
jo ho tamancha-e-mauj-e-nasim se aagah
habab sar pe liye kasa-e-riya na phire
kulah-e-faqr pe nazan hun main badaulat-e-ishq
sar-e-niyaz pe mere kabhi huma na phire
KHayal-e-KHwab-e-adam gar na ho gareban-gir
to aankh mund ke yan koi bulbula na phire
na howe dida-e-subh-e-watan kabhu raushan
ghubar-e-gor-e-ghariban kabhu uDa na phire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.