charagh-e-dil jalane mein bahut hi der kar di hai
charāġh-e-dil jalāne meñ bahut hī der kar dī hai
surāġh-e-dard paane meñ bahut hī der kar dī hai
harīr-o-parniyāñ ḳhushbū jaḌāv haath ke kañgan
gul-o-lāla sajāne meñ bahut hī der kar dī hai
kahīñ patthar na ho jaa.eñ mirī ye muntazir āñkheñ
palaT kar tum ne aane meñ bahut hī der kar dī hai
chalo kuchh muḳhtasar kar deñ ġham-o-ālām kā qissa
tumheñ ham ne bhulāne meñ bahut hī der kar dī hai
junūñ be-bāk ne saarī hadoñ ko toḌ Daalā hai
ḳhirad ne maat khāne meñ bahut hī der kar dī hai
numū kī rut bahut muddat se tārīkī meñ Thahrī hai
na.e sūraj ne aane meñ bahut hī der kar dī hai
charagh-e-dil jalane mein bahut hi der kar di hai
suragh-e-dard pane mein bahut hi der kar di hai
harir-o-parniyan KHushbu jaDaw hath ke kangan
gul-o-lala sajaane mein bahut hi der kar di hai
kahin patthar na ho jaen meri ye muntazir aankhen
palaT kar tum ne aane mein bahut hi der kar di hai
chalo kuchh muKHtasar kar den gham-o-alam ka qissa
tumhein hum ne bhulane mein bahut hi der kar di hai
junun be-bak ne sari hadon ko toD Dala hai
KHirad ne mat khane mein bahut hi der kar di hai
numu ki rut bahut muddat se tariki mein Thahri hai
nae suraj ne aane mein bahut hi der kar di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.