charagh-e-dil jalaya kis liye hai sham se pahle
charāġh-e-dil jalāyā kis liye hai shaam se pahle
ḳhushī achchhī nahīñ hai ishq meñ anjām se pahle
guzarnā to shab-e-furqat kā yā-rab ġhair-mumkin hai
taḌapnā dil kā kahtā hai numūd-e-shām se pahle
hudūd-e-mahfil-e-ishrat meñ rakkheñge qadam ik din
zarā mānūs to ho leñ ġham-e-ālām se pahle
mujhe saaqī se ulfat hai nahīñ sāġhar kā shaidā.ī
uThā jaatā huuñ ḳhud mahfil se daur-e-jām se pahle
Dhalā din aur mire dil kī baḌhīñ bechainiyāñ 'paikar'
jigar ko thaam letā huuñ maiñ dard-e-shām se pahle
charagh-e-dil jalaya kis liye hai sham se pahle
KHushi achchhi nahin hai ishq mein anjam se pahle
guzarna to shab-e-furqat ka ya-rab ghair-mumkin hai
taDapna dil ka kahta hai numud-e-sham se pahle
hudud-e-mahfil-e-ishrat mein rakkhenge qadam ek din
zara manus to ho len gham-e-alam se pahle
mujhe saqi se ulfat hai nahin saghar ka shaidai
uTha jata hun KHud mahfil se daur-e-jam se pahle
Dhala din aur mere dil ki baDhin bechainiyan 'paikar'
jigar ko tham leta hun main dard-e-sham se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.