charagh-e-mehr-o-mohabbat jala sako to chalo
charāġh-e-mehr-o-mohabbat jalā sako to chalo
adāvatoñ ke añdhere miTā sako to chalo
kisī kā bojh kahāñ tak koī uThā.egā
tum apnā bojh agar ḳhud uThā sako to chalo
hamārī ziist kā har lamha karb kā lamha
ġhamoñ kī bhiiḌ meñ gar muskurā sako to chalo
ḳhizāñ ke baad hī fasl-e-bahār aatī hai
ġham-e-hayāt se āñkheñ milā sako to chalo
charagh-e-mehr-o-mohabbat jala sako to chalo
adawaton ke andhere miTa sako to chalo
kisi ka bojh kahan tak koi uThaega
tum apna bojh agar KHud uTha sako to chalo
hamari zist ka har lamha karb ka lamha
ghamon ki bhiD mein gar muskura sako to chalo
KHizan ke baad hi fasl-e-bahaar aati hai
gham-e-hayat se aankhen mila sako to chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.