charagh-e-mehr-o-wafa KHun se jalati hun
charāġh-e-mehr-o-vafā ḳhuun se jalātī huuñ
maiñ sirf va.ada nahīñ kartī huuñ nibhātī huuñ
mirā mizāj nahīñ miltā zindagānī se
shadīd ranj ke lamhoñ meñ muskurātī huuñ
masarratoñ kī taraf ik qadam baḌhāyā thā
udāsī kaan meñ bolī tū chal maiñ aatī huuñ
vo qais hai na vo mujh ko salām kartā hai
junūñ ke sahrā meñ muddat se ḳhaak uḌātī huuñ
kabhī to chāñd mirī dastaras meñ hogā 'sanā'
maiñ āsmāñ pe ajab dā.ere banātī huuñ
charagh-e-mehr-o-wafa KHun se jalati hun
main sirf wada nahin karti hun nibhati hun
mera mizaj nahin milta zindagani se
shadid ranj ke lamhon mein muskuraati hun
masarraton ki taraf ek qadam baDhaya tha
udasi kan mein boli tu chal main aati hun
wo qais hai na wo mujh ko salam karta hai
junun ke sahra mein muddat se KHak uDati hun
kabhi to chand meri dastaras mein hoga 'sana'
main aasman pe ajab daere banati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.