charagh-e-mohabbat jalane lage hain
charāġh-e-mohabbat jalāne lage haiñ
abhī se qadam Dagmagāne lage haiñ
ġham-e-zindagī jab sunāne lage haiñ
banāne meñ ham ko zamāne lage haiñ
bujhāne meñ jis ko zamāne lage haiñ
vahīñ aag phir se lagāne lage haiñ
zarā aage baḌh ke diyā ik jalāo
añdhere bahut ab satāne lage haiñ
natīja sharāfat kā hotā yahī hai
sabhī aaj uñglī uThāne lage haiñ
charagh-e-mohabbat jalane lage hain
abhi se qadam Dagmagane lage hain
gham-e-zindagi jab sunane lage hain
banane mein hum ko zamane lage hain
bujhane mein jis ko zamane lage hain
wahin aag phir se lagane lage hain
zara aage baDh ke diya ek jalao
andhere bahut ab satane lage hain
natija sharafat ka hota yahi hai
sabhi aaj ungli uThane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.