charagh-e-rah bane sham-e-anjuman na rahe
charāġh-e-rāh bane sham-e-anjuman na rahe
ḳhudā kare ki mirā fan bhī merā fan na rahe
diloñ ke phuul tabassum ke phuul pyaar ke phuul
khileñ ye phuul to phir barq kā chalan na rahe
nigāh bhar ke mujhe dekh jaam bhar ke pilā
mirī jabīñ pe ġham-e-dahr kī shikan na rahe
tumhāre qabza-e-qudrat meñ mehr-o-māh sahī
magar ye kyā ki mire paas ik kiran na rahe
charagh-e-rah bane sham-e-anjuman na rahe
KHuda kare ki mera fan bhi mera fan na rahe
dilon ke phul tabassum ke phul pyar ke phul
khilen ye phul to phir barq ka chalan na rahe
nigah bhar ke mujhe dekh jam bhar ke pila
meri jabin pe gham-e-dahr ki shikan na rahe
tumhaare qabza-e-qudrat mein mehr-o-mah sahi
magar ye kya ki mere pas ek kiran na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.