charagh-e-sham tha din bhar bujha raha koi
charāġh-e-shām thā din bhar bujhā rahā koī
ġhurūb shams ke hote hī jal gayā koī
bayān kar nahīñ saktā kabhī mahāsin-e-ishq
koī radīf ġhazal meñ na qāfiya koī
rafāqatoñ meñ ajab tarz-e-ajnabiyyat thā
ki saath rah ki bhī ham se rahā judā koī
ye rañg dard ke aate nahīñ suḳhan meñ yūñhī
nihāl-e-dil pe mire zaḳhm hai khulā koī
mire safar meñ mirī ham-safar hai tanhā.ī
ki do qadam na mire saath chal sakā koī
na ain par hī rukī shiin pe na qaaf pe hī
tumhārī yaad kī manzil na intihā koī
charagh-e-sham tha din bhar bujha raha koi
ghurub shams ke hote hi jal gaya koi
bayan kar nahin sakta kabhi mahasin-e-ishq
koi radif ghazal mein na qafiya koi
rafaqaton mein ajab tarz-e-ajnabiyyat tha
ki sath rah ki bhi hum se raha juda koi
ye rang dard ke aate nahin suKHan mein yunhi
nihaal-e-dil pe mere zaKHm hai khula koi
mere safar mein meri ham-safar hai tanhai
ki do qadam na mere sath chal saka koi
na ain par hi ruki shin pe na qaf pe hi
tumhaari yaad ki manzil na intiha koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.