charagh-e-shauq jala kar kahan se jaana tha
charāġh-e-shauq jalā kar kahāñ se jaanā thā
hameñ to ho ke saf-e-dushmanāñ se jaanā thā
ye dil ye shahr-e-vafā kab use pasand aayā
vo be-qarār thā us ko yahāñ se jaanā thā
nazar meñ rakkhā nahīñ ek bhī sitāra tirā
ki ḳhāk-zād the ham āsmāñ se jaanā thā
kisī bahāne sahī zindagī kā qarz utrā
hameñ to vaise bhī ik roz jaañ se jaanā thā
nadī meñ rah ke chaTānoñ se darguzar karnā
ye ham ne fitrat-e-mauj-e-ravāñ se jaanā thā
charagh-e-shauq jala kar kahan se jaana tha
hamein to ho ke saf-e-dushmanan se jaana tha
ye dil ye shahr-e-wafa kab use pasand aaya
wo be-qarar tha us ko yahan se jaana tha
nazar mein rakkha nahin ek bhi sitara tera
ki KHak-zad the hum aasman se jaana tha
kisi bahane sahi zindagi ka qarz utra
hamein to waise bhi ek roz jaan se jaana tha
nadi mein rah ke chaTanon se darguzar karna
ye hum ne fitrat-e-mauj-e-rawan se jaana tha
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 165)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998)
- Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.