charagh-e-subh jala koi na-shanasi mein
charāġh-e-sub.h jalā koī nā-shanāsī meñ
ik aur din kā izāfa huā udāsī meñ
tirī nazar ke ishāroñ pe aa.ina na huā
ye dil kī taaq bahut thā suḳhan-shanāsī meñ
dikhā.ī de na mujhe dahshat-e-jamāl ke saath
nashāt-e-ishq na kho jaa.e bad-havāsī meñ
junūñ rahīn-e-qabā ho to is se pūchhūñ bhī
ke kitnā lutf mayassar thā be-libāsī meñ
na roz-e-abr-e-siyah thā na māhtāb kī raat
gilās TuuT gayā kaisī bad-havāsī meñ
charagh-e-subh jala koi na-shanasi mein
ek aur din ka izafa hua udasi mein
teri nazar ke ishaaron pe aaina na hua
ye dil ki taq bahut tha suKHan-shanasi mein
dikhai de na mujhe dahshat-e-jamal ke sath
nashat-e-ishq na kho jae bad-hawasi mein
junun rahin-e-qaba ho to is se puchhun bhi
ke kitna lutf mayassar tha be-libasi mein
na roz-e-abr-e-siyah tha na mahtab ki raat
gilas TuT gaya kaisi bad-hawasi mein
- Book : Ishq Abaab (Pg. 61)
- Author : Abbas Tabish
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.