charagh-e-tanaffus bujha chahta hai
charagh-e-tanaffus bujha chahta hai
Azimuddin Sahil Kalamnoori
MORE BYAzimuddin Sahil Kalamnoori
charāġh-e-tanaffus bujhā chāhtā hai
ḳhudā jaane ab kyā ḳhudā chāhtā hai
yahāñ jo kisī kā bhalā chāhtā hai
zamāna usī kā burā chāhtā hai
mubārak ho tum ko ziyā-pāsh rāteñ
mirā ghar faqat ik diyā chāhtā hai
nahīñ koī ruktā shajar ho jo sūkhā
parinda bhī saaya ghanā chāhtā hai
bahut ho chukī haiñ mohabbat kī bāteñ
adab aaj lahja nayā chāhtā hai
kināre pahuñchnā zarūrī hai 'sāhil'
samundar meñ tūfāñ uThā chāhtā hai
charagh-e-tanaffus bujha chahta hai
KHuda jaane ab kya KHuda chahta hai
yahan jo kisi ka bhala chahta hai
zamana usi ka bura chahta hai
mubarak ho tum ko ziya-pash raaten
mera ghar faqat ek diya chahta hai
nahin koi rukta shajar ho jo sukha
parinda bhi saya ghana chahta hai
bahut ho chuki hain mohabbat ki baaten
adab aaj lahja naya chahta hai
kinare pahunchna zaruri hai 'sahil'
samundar mein tufan uTha chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.