charagh-e-zist bujha dil se ek dhuan nikla
Interesting Fact
1915
charāġh-e-zīst bujhā dil se ik dhuāñ niklā
lagā ke aag mire ghar se mehmāñ niklā
dil apnā ḳhaak thā phir ḳhaak ko jalānā kyā
na koī sho.ala uThā aur na kuchh dhuāñ niklā
suneñge chheḌ ke afsāna-e-dil-e-marhūm
idhar se mulk-e-adam kā jo kārvāñ niklā
taḌap ke ābla-pā uTh khaḌe hue āḳhir
talāsh-e-yār meñ jab koī kārvāñ niklā
lahū lagā ke shahīdoñ meñ ho ga.e dāḳhil
havas to niklī magar hausla kahāñ niklā
harīm-e-nāz meñ shāyad kisī ko daḳhl nahīñ
dil aziiz bhī nā-ḳhvāñda mehmāñ niklā
nihāñ thā ḳhāna-e-dil meñ hī shāhid-e-maqsūd
jo be-nishāñ thā vo dīvār-e-darmiyāñ niklā
hai fann-e-ishq kā ustād bas dil-e-vahshī
marīz-e-ġham kā yahī ik mizāj-dāñ niklā
lagā hai dil ko ab anjām-kār kā khaTkā
bahār-e-gul se bhī ik pahlū-e-ḳhizāñ niklā
zamāna phir gayā chalne lagī havā ulTī
chaman ko aag lagā kar jo bāġhbāñ niklā
hamāre sabr kī khāte haiñ ab qasam aġhyār
jafā-kashī kā maza ba.ad-e-imtihāñ niklā
ḳhushī se ho ga.e bad-ḳhvāh mere shādī-e-marg
kafan pahan ke jo maiñ ghar se nā-gahāñ niklā
ajal se baḌh ke muhāfiz nahīñ koī apnā
ḳhudā kī shaan ki dushman nigāh-bāñ niklā
dikhāyā gor-e-sikandar ne baḌh ke ā.īna
jo sar uThā ke koī zer-e-āsmāñ niklā
lahad se baḌh ke nahīñ koī gosha-e-rāhat
qayāmat aa.ī jo is ghar se mehmāñ niklā
ab apnī ruuh hai aur sair-e-ālam-e-bālā
kueñ se yūsuf-e-gum-karda-kārvāñ niklā
kalām-e-'yās' se duniyā meñ phir ik aag lagī
ye kaun hazrat-e-'ātish' kā ham-zabāñ niklā
charagh-e-zist bujha dil se ek dhuan nikla
laga ke aag mere ghar se mehman nikla
dil apna KHak tha phir KHak ko jalana kya
na koi shoala uTha aur na kuchh dhuan nikla
sunenge chheD ke afsana-e-dil-e-marhum
idhar se mulk-e-adam ka jo karwan nikla
taDap ke aabla-pa uTh khaDe hue aaKHir
talash-e-yar mein jab koi karwan nikla
lahu laga ke shahidon mein ho gae daKHil
hawas to nikli magar hausla kahan nikla
harim-e-naz mein shayad kisi ko daKHl nahin
dil aziz bhi na-KHwanda mehman nikla
nihan tha KHana-e-dil mein hi shahid-e-maqsud
jo be-nishan tha wo diwar-e-darmiyan nikla
hai fann-e-ishq ka ustad bas dil-e-wahshi
mariz-e-gham ka yahi ek mizaj-dan nikla
laga hai dil ko ab anjam-kar ka khaTka
bahaar-e-gul se bhi ek pahlu-e-KHizan nikla
zamana phir gaya chalne lagi hawa ulTi
chaman ko aag laga kar jo baghban nikla
hamare sabr ki khate hain ab qasam aghyar
jafa-kashi ka maza baad-e-imtihan nikla
KHushi se ho gae bad-KHwah mere shadi-e-marg
kafan pahan ke jo main ghar se na-gahan nikla
ajal se baDh ke muhafiz nahin koi apna
KHuda ki shan ki dushman nigah-ban nikla
dikhaya gor-e-sikandar ne baDh ke aaina
jo sar uTha ke koi zer-e-asman nikla
lahad se baDh ke nahin koi gosha-e-rahat
qayamat aai jo is ghar se mehman nikla
ab apni ruh hai aur sair-e-alam-e-baala
kuen se yusuf-e-gum-karda-karwan nikla
kalam-e-'yas' se duniya mein phir ek aag lagi
ye kaun hazrat-e-'atish' ka ham-zaban nikla
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 226)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.