charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de
charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de
Ateequllah
MORE BYAteequllah
charāġh hāthoñ ke bujh rahe haiñ sitāra har rah-guzar meñ rakh de
utaar de chāñd us ke dar par siyāh din mere ghar meñ rakh de
kahīñ kahīñ koī rabt-e-maḳhfī ibārat-e-muntashar meñ rakh de
gurez par haiñ nishān saare taraf bhī koī safar meñ rakh de
talab talab ā.ina-sifat hai ḳharāb-o-ḳhasta haiñ aks saare
ye nekiyāñ bhī haiñ sar-barahna latāfat-e-ḳhair shar meñ rakh de
nashāt-āvar hai ye udāsī kā ek uḌtā huā sā lamha
mabādā tāq-e-rajā ho vīrāñ sharāra ik chashm-e-tar meñ rakh de
ye sarf-o-hāsil-gazīda duniyā na din hī mere na merī rāteñ
kahāñ talak dekhtā hī jā.ūñ samā.ateñ kuchh nazar meñ rakh de
mire ḳhudā mere jism-o-jāñ ke ḳhudā mire haath jhaḌ na jaa.eñ
duā tah-e-sañg-e-lab gaḌī hai asar zarā sā asar meñ rakh de
badan hai yā qila-e-havā hai kahīñ se aa.uuñ kahīñ se jā.ūñ
hazāroñ raḳhne paḌe hue haiñ uThā ke dīvār dar meñ rakh de
charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de
utar de chand us ke dar par siyah din mere ghar mein rakh de
kahin kahin koi rabt-e-maKHfi ibarat-e-muntashar mein rakh de
gurez par hain nishan sare taraf bhi koi safar mein rakh de
talab talab aaina-sifat hai KHarab-o-KHasta hain aks sare
ye nekiyan bhi hain sar-barahna latafat-e-KHair shar mein rakh de
nashat-awar hai ye udasi ka ek uDta hua sa lamha
mabaada taq-e-raja ho viran sharara ek chashm-e-tar mein rakh de
ye sarf-o-hasil-gazida duniya na din hi mere na meri raaten
kahan talak dekhta hi jaun samaaten kuchh nazar mein rakh de
mere KHuda mere jism-o-jaan ke KHuda mere hath jhaD na jaen
dua tah-e-sang-e-lab gaDi hai asar zara sa asar mein rakh de
badan hai ya qila-e-hawa hai kahin se aaun kahin se jaun
hazaron raKHne paDe hue hain uTha ke diwar dar mein rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.