charagh ishq ke dil mein jalae jate hain
charāġh ishq ke dil meñ jalā.e jaate haiñ
baḌe hī shauq se sadme uThā.e jaate haiñ
unheñ sukūn mile ik yahī tamanna hai
agarche ham ko vo jī-bhar rulā.e jaate haiñ
fareb un kī adā aur adā fareb lage
yaqīn-e-ishq vo phir bhī dilā.e jaate haiñ
bhulā diyā hai hameñ ḳhair koī baat nahīñ
vo yaad aa ke magar kyoñ rulā.e jaate haiñ
ḳhushī manāte haiñ har vaqt dil ke luTne kī
to ahl-e-shauq bhalā kyoñ satā.e jaate haiñ
haiñ jaan merī vahī haiñ adū vahī jaañ ke
vo bāteñ ġhair se kar zulm Dhaa.e jaate haiñ
charagh ishq ke dil mein jalae jate hain
baDe hi shauq se sadme uThae jate hain
unhen sukun mile ek yahi tamanna hai
agarche hum ko wo ji-bhar rulae jate hain
fareb un ki ada aur ada fareb lage
yaqin-e-ishq wo phir bhi dilae jate hain
bhula diya hai hamein KHair koi baat nahin
wo yaad aa ke magar kyon rulae jate hain
KHushi manate hain har waqt dil ke luTne ki
to ahl-e-shauq bhala kyon satae jate hain
hain jaan meri wahi hain adu wahi jaan ke
wo baaten ghair se kar zulm Dhae jate hain
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 211)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.