charagh jal bhi raha hai hawa ka Dar bhi hai
charāġh jal bhī rahā hai havā kā Dar bhī hai
mirī duāoñ pe lekin tirī nazar bhī hai
gharoñ ko phūñkne vaale zarā ye dekh bhī le
usī galī meñ sunā hai ki terā ghar bhī hai
maiñ ghar se niklūñ to be-ḳhauf ho nikaltā huuñ
ki merī maañ kī duā merī ham-safar bhī hai
abhī se fitna-e-duniyā se Dar ga.e yaaro
abhī to fitna-e-aflāk kī ḳhabar bhī hai
usī ke pyaar se raushan hai zindagī merī
usī ke pyaar se lekin bahut sā Dar bhī hai
'nadīm' aas meñ baiThe ki phir se jī uTTheñ
ki us ke haath meñ sunte haiñ ye hunar bhī hai
charagh jal bhi raha hai hawa ka Dar bhi hai
meri duaon pe lekin teri nazar bhi hai
gharon ko phunkne wale zara ye dekh bhi le
usi gali mein suna hai ki tera ghar bhi hai
main ghar se niklun to be-KHauf ho nikalta hun
ki meri man ki dua meri ham-safar bhi hai
abhi se fitna-e-duniya se Dar gae yaro
abhi to fitna-e-aflak ki KHabar bhi hai
usi ke pyar se raushan hai zindagi meri
usi ke pyar se lekin bahut sa Dar bhi hai
'nadim' aas mein baiThe ki phir se ji uTThen
ki us ke hath mein sunte hain ye hunar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.