charagh jal to raha hai ziya nahin aati
charāġh jal to rahā hai ziyā nahīñ aatī
havā bhī tez hai lekin havā nahīñ aatī
ajiib hijr kā aalam hai kyā kiyā jaa.e
sivā.e dil ke kisī kī sadā nahīñ aatī
tavaqquāt kī chādar sameT lete haiñ
hamāre lab pe kabhī badduā nahīñ aatī
tumhāre ishq ne baḳhshī hai bekalī garche
vafā kī raah meñ ham ko jafā nahīñ aatī
siyāh ho gayā dil us kā is qadar ab to
ki be-hayā.ī pe apnī hayā nahīñ aatī
hayā hijāb pe karte haiñ tabsire 'amabar'
saroñ pe jin ke kabhī bhī ridā nahīñ aatī
charagh jal to raha hai ziya nahin aati
hawa bhi tez hai lekin hawa nahin aati
ajib hijr ka aalam hai kya kiya jae
siwae dil ke kisi ki sada nahin aati
tawaqquat ki chadar sameT lete hain
hamare lab pe kabhi baddua nahin aati
tumhaare ishq ne baKHshi hai bekali garche
wafa ki rah mein hum ko jafa nahin aati
siyah ho gaya dil us ka is qadar ab to
ki be-hayai pe apni haya nahin aati
haya hijab pe karte hain tabsire 'amabar'
saron pe jin ke kabhi bhi rida nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.