charagh jal to rahe hain magar andhera hai
charāġh jal to rahe haiñ magar añdherā hai
na jaane shahr meñ kyā aur hone vaalā hai
añdherā ghar sahī lekin bahut ujālā hai
na jaane aaj yahāñ kaun aane vaalā hai
ye shaḳhs dekhne meñ ajnabī nahīñ lagtā
na jaane kaun sī bastī kā rahne vaalā hai
na guftugū meñ tasallī na ḳhāmushī meñ sadā
sulūk-e-dost kā andāz hī nirālā hai
vo jis ke vāste sadiyāñ guzār diiñ ham ne
vo ek lamha bahar-hāl aane vaalā hai
vo be-niyāz sahī phir bhī us se kah do 'nāz'
ye dil kā rishta hai kab TuuT jaane vaalā hai
charagh jal to rahe hain magar andhera hai
na jaane shahr mein kya aur hone wala hai
andhera ghar sahi lekin bahut ujala hai
na jaane aaj yahan kaun aane wala hai
ye shaKHs dekhne mein ajnabi nahin lagta
na jaane kaun si basti ka rahne wala hai
na guftugu mein tasalli na KHamushi mein sada
suluk-e-dost ka andaz hi nirala hai
wo jis ke waste sadiyan guzar din hum ne
wo ek lamha bahar-haal aane wala hai
wo be-niyaz sahi phir bhi us se kah do 'naz'
ye dil ka rishta hai kab TuT jaane wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.