charagh jalne lagen aur dil machalne lage
charāġh jalne lageñ aur dil machalne lage
udhar ho raat udhar koī jī ko malne lage
udaas os kī būñdoñ se bujhne-jalne lage
tum aa raho to sitāroñ kī lau sambhalne lage
ye devdār kī Tahnī pe tham gayā sā chāñd
havā chale to abhī karvaTeñ badalne lage
tamām-rāt dhuāñ sā uchhāltī rahī raat
rukī to ThiThure hue hāth-pāoñ jalne lage
ab in harī-bharī saḌkoñ kā jaane kyā hogā
thī jin se raah vahī rāsta badalne lage
jo bādaloñ meñ tirī maañg sī lakīroñ par
nazar ga.ī to diloñ meñ charāġh jalne lage
ruko to dard sā Thahrā sujhā.ī de dil meñ
chalo to 'ashk' kasak saath saath chalne lage
charagh jalne lagen aur dil machalne lage
udhar ho raat udhar koi ji ko malne lage
udas os ki bundon se bujhne-jalne lage
tum aa raho to sitaron ki lau sambhalne lage
ye dewdar ki Tahni pe tham gaya sa chand
hawa chale to abhi karwaTen badalne lage
tamam-raat dhuan sa uchhaalti rahi raat
ruki to ThiThure hue hath-paon jalne lage
ab in hari-bhari saDkon ka jaane kya hoga
thi jin se rah wahi rasta badalne lage
jo baadalon mein teri mang si lakiron par
nazar gai to dilon mein charagh jalne lage
ruko to dard sa Thahra sujhai de dil mein
chalo to 'ashk' kasak sath sath chalne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.