charagh jalta nahin hai lekin jala raha hun
charāġh jaltā nahīñ hai lekin jalā rahā huuñ
maiñ ek laḌkī ko pyaar karnā sikhā rahā huuñ
isī liye to nikhar rahā huuñ maiñ lamha lamha
ki jhiil āñkhoñ meñ chāñd ban kar nahā rahā huuñ
ye saath gaañv meñ ek chhoTā sā kaam hai bas
mirī udāsī udaas mat ho maiñ aa rahā huuñ
ki beḌiyoñ kī hasīn chhan-chhan pe sar dhuno tum
na mujh se pūchho ki paañv kaise hilā rahā huuñ
hai mom jaisā mirā badan aur tū aag jaisī
tire qarīb aa ke apnī hastī miTā rahā huuñ
'hasīb' apnā ḳhayāl rakhnā mujhe ijāzat
shakeb-o-sarvat bulā rahe haiñ maiñ jā rahā huuñ
charagh jalta nahin hai lekin jala raha hun
main ek laDki ko pyar karna sikha raha hun
isi liye to nikhar raha hun main lamha lamha
ki jhil aankhon mein chand ban kar naha raha hun
ye sath ganw mein ek chhoTa sa kaam hai bas
meri udasi udas mat ho main aa raha hun
ki beDiyon ki hasin chhan-chhan pe sar dhuno tum
na mujh se puchho ki panw kaise hila raha hun
hai mom jaisa mera badan aur tu aag jaisi
tere qarib aa ke apni hasti miTa raha hun
'hasib' apna KHayal rakhna mujhe ijazat
shakeb-o-sarwat bula rahe hain main ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.