charagh jo bhi jala hai hawa ke sae mein
charāġh jo bhī jalā hai havā ke saa.e meñ
sadā rahā hai farozāñ duā ke saa.e meñ
hameñ miTā na sakegī ye gardish-e-daurāñ
azal se ham haiñ atā-e-ḳhudā ke saa.e meñ
faroġh-e-sub.h kā aalam hai vajh-e-māyūsī
ujāle sahme haiñ kis badduā ke saa.e meñ
kabhī to hogā bahāroñ kā is taraf ko nuzūl
ḳhizāñ-rasīda chaman hai havā ke saa.e meñ
milī na tauba kī mohlat tamām umr kabhī
hamārī zindagī guzrī ḳhatā ke saa.e meñ
hijāb-e-nāla-e-shab muntashir rahe kab tak
ḳhamoshiyāñ bhī nihāñ haiñ sadā ke saa.e meñ
sa.ūbatoñ se gurezāñ ho kis liye ai 'zafar'
vajūd apnā hai jab ki qazā ke saa.e meñ
charagh jo bhi jala hai hawa ke sae mein
sada raha hai farozan dua ke sae mein
hamein miTa na sakegi ye gardish-e-dauran
azal se hum hain ata-e-KHuda ke sae mein
farogh-e-subh ka aalam hai wajh-e-mayusi
ujale sahme hain kis baddua ke sae mein
kabhi to hoga bahaaron ka is taraf ko nuzul
KHizan-rasida chaman hai hawa ke sae mein
mili na tauba ki mohlat tamam umr kabhi
hamari zindagi guzri KHata ke sae mein
hijab-e-nala-e-shab muntashir rahe kab tak
KHamoshiyan bhi nihan hain sada ke sae mein
saubaton se gurezan ho kis liye ai 'zafar'
wajud apna hai jab ki qaza ke sae mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.