Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh mehman hain raat bhar ke makan munawwar nahin rahega

Gulzar Bukhari

charagh mehman hain raat bhar ke makan munawwar nahin rahega

Gulzar Bukhari

charāġh mehmāñ haiñ raat bhar ke makāñ munavvar nahīñ rahegā

ise basā lo dil-o-nazar meñ ki phir ye manzar nahīñ rahegā

zaḳhīra-e-āb par hai dār-o-madār bārish ke mausamoñ

kahāñ se ā.eñge abr ghir kar agar samundar nahīñ rahegā

huā hai us se mirā tasādum to kyoñ use nā-tamām chhoḌūñ

fasīl raste TuuT jā.egī mirā sar nahīñ rahegā

rahī jo tahsīl-e-āb-o-dāna shart ḳhāna-ba-dosh honā

kisī parinde āshiyāna chaman ke andar nahīñ rahegā

kisī dīvār par tasarruf koī huā bām-o-dar pe qābiz

yahī makīnoñ ḳhū rahī to yaqīn hai ghar nahīñ rahegā

isī se qaa.em hai shaan us yahī hai 'gulzār' aan us

rahegī kyā aabrū sadaf jo us meñ gauhar nahīñ rahegā

charagh mehman hain raat bhar ke makan munawwar nahin rahega

ise basa lo dil-o-nazar mein ki phir ye manzar nahin rahega

zaKHira-e-ab par hai dar-o-madar barish ke mausamon ka

kahan se aaenge abr ghir kar agar samundar nahin rahega

hua hai us se mera tasadum to kyon use na-tamam chhoDun

fasil raste ki TuT jaegi ya mera sar nahin rahega

rahi jo tahsil-e-ab-o-dana ki shart KHana-ba-dosh hona

kisi parinde ka aashiyana chaman ke andar nahin rahega

kisi ka diwar par tasarruf koi hua baam-o-dar pe qabiz

yahi makinon ki KHu rahi to yaqin hai ghar nahin rahega

isi se qaem hai shan us ki yahi hai 'gulzar' aan us ki

rahegi kya aabru sadaf ki jo us mein gauhar nahin rahega

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now