charagh sabr ke jis ne jalae roya hai
charāġh sabr ke jis ne jalā.e royā hai
havā se rabt-o-ta.alluq baḌhā.e royā hai
sulagte ḳhvāboñ kī ta.abīr kī banāvaT meñ
jo apnī āñkheñ musalsal jagā.e royā hai
yahī nahīñ ki parinde lahū bahāte haiñ
udaas tanhā shajar bhī to haa.e royā hai
samajh lo paanī se nisbat use rahī hogī
jo canvas pe samundar banā.e royā hai
maiñ jāntī huuñ vo ik shaḳhs vasl kā maarā
parā.e hijr kā jo rañj uThā.e royā hai
charagh sabr ke jis ne jalae roya hai
hawa se rabt-o-talluq baDhae roya hai
sulagte KHwabon ki tabir ki banawaT mein
jo apni aankhen musalsal jagae roya hai
yahi nahin ki parinde lahu bahate hain
udas tanha shajar bhi to hae roya hai
samajh lo pani se nisbat use rahi hogi
jo canwas pe samundar banae roya hai
main jaanti hun wo ek shaKHs wasl ka mara
parae hijr ka jo ranj uThae roya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.