charaghon ka safar hai intizar-e-hasil-e-shab hai lab-e-ju hai
charaghon ka safar hai intizar-e-hasil-e-shab hai lab-e-ju hai
Shehpar Rasool
MORE BYShehpar Rasool
charāġhoñ kā safar hai intizār-e-hāsil-e-shab hai lab-e-jū hai
ki ham par bhī añdhere pāniyoñ meñ raushnī karne kā jaadū hai
khulī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kā jazīra hai ḳhirām-e-aks-e-āhū hai
shab-e-va.ada hai gesū-e-havā-e-yaḳh pareshāñ haiñ ki ḳhushbū hai
sabā sehn-e-chaman meñ aam kartī bhī to kis ke qissa-e-jāñ ko
haqīqat hai ki saarī dāstānoñ meñ kahīñ maiñ huuñ kahīñ tū hai
ba-lafz-e-ḳhāmushī saare khañDar aapas meñ mahv-e-guftugū haiñ aur
siyah mausam zabān-e-sang meñ kahtā hai dekho ālam-e-hū hai
havā-e-tund chāk-e-bādbāñ se narm lahje meñ ye kahtī hai
kisī kā kab bhalā in bāvle aur sar-phire jhoñkoñ pe qaabū hai
mirā naala falak kī azmatoñ se jā milā hai shāyad ai 'shahpar'
sahar nam hai fazā chup hai ki dhānī ghaas ke aariz pe aañsū hai
charaghon ka safar hai intizar-e-hasil-e-shab hai lab-e-ju hai
ki hum par bhi andhere paniyon mein raushni karne ka jadu hai
khuli aankhon mein KHwabon ka jazira hai KHiram-e-aks-e-ahu hai
shab-e-wada hai gesu-e-hawa-e-yaKH pareshan hain ki KHushbu hai
saba sehn-e-chaman mein aam karti bhi to kis ke qissa-e-jaan ko
haqiqat hai ki sari dastanon mein kahin main hun kahin tu hai
ba-lafz-e-KHamushi sare khanDar aapas mein mahw-e-guftugu hain aur
siyah mausam zaban-e-sang mein kahta hai dekho aalam-e-hu hai
hawa-e-tund chaak-e-baadban se narm lahje mein ye kahti hai
kisi ka kab bhala in bawle aur sar-phire jhonkon pe qabu hai
mera nala falak ki azmaton se ja mila hai shayad ai 'shahpar'
sahar nam hai faza chup hai ki dhani ghas ke aariz pe aansu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.