charaghon ke sath jal rahi hun hawa ke hamrah chal rahi hun
charaghon ke sath jal rahi hun hawa ke hamrah chal rahi hun
Rehana Nawab
MORE BYRehana Nawab
charāġhoñ ke saath jal rahī huuñ havā ke hamrāh chal rahī huuñ
yahī hai hālāt kā taqāzā mizāj apnā badal rahī huuñ
na koī dar hai na koī chhat hai yahī mirī apnī saltanat hai
tumhāre sapnoñ kī shāhzādī tumhārī āñkhoñ meñ pal rahī huuñ
ḳhabar hai kuchh muskurāne vaalo mujhe nishāna banāne vaalo
abhī talak maiñ kamān meñ thī kamān se ab nikal rahī huuñ
na koī dāman na koī saaya koī to ho jo mujhe bulā.e
maiñ dhuup meñ kal bhī jal rahī thī maiñ dhuup meñ ab bhī jal rahī huuñ
na maiñ farishta na pārsā huuñ maiñ apnī marzī kī mālika huuñ
sañbhal sañbhal kar bahak rahī huuñ bahak bahak kar sañbhal rahī huuñ
ye chāhtī huuñ jahāñ kā har ġham 'rehāna' dil meñ sameT luuñ maiñ
vo sang hai to rahe salāmat maiñ mom ban kar pighal rahī huuñ
charaghon ke sath jal rahi hun hawa ke hamrah chal rahi hun
yahi hai haalat ka taqaza mizaj apna badal rahi hun
na koi dar hai na koi chhat hai yahi meri apni saltanat hai
tumhaare sapnon ki shahzadi tumhaari aankhon mein pal rahi hun
KHabar hai kuchh muskurane walo mujhe nishana banane walo
abhi talak main kaman mein thi kaman se ab nikal rahi hun
na koi daman na koi saya koi to ho jo mujhe bulae
main dhup mein kal bhi jal rahi thi main dhup mein ab bhi jal rahi hun
na main farishta na parsa hun main apni marzi ki malika hun
sanbhal sanbhal kar bahak rahi hun bahak bahak kar sanbhal rahi hun
ye chahti hun jahan ka har gham 'rehana' dil mein sameT lun main
wo sang hai to rahe salamat main mom ban kar pighal rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.