charaghon ki himayat kar raha hun
charāġhoñ kī himāyat kar rahā huuñ
maiñ sūraj se baġhāvat kar rahā huuñ
mirī āñkheñ munavvar ho rahī haiñ
tirī jab se ziyārat kar rahā huuñ
qayāmat-ḳhez haiñ hālāt lekin
maiñ jiine kī jasārat kar rahā huuñ
mirī izzat zamāna kar rahā hai
buzurgoñ kī maiñ izzat kar rahā huuñ
musalsal apnā ḳhūn-e-dil jalā kar
ġhazal maiñ terī ḳhidmat kar rahā huuñ
charaghon ki himayat kar raha hun
main suraj se baghawat kar raha hun
meri aankhen munawwar ho rahi hain
teri jab se ziyarat kar raha hun
qayamat-KHez hain haalat lekin
main jine ki jasarat kar raha hun
meri izzat zamana kar raha hai
buzurgon ki main izzat kar raha hun
musalsal apna KHun-e-dil jala kar
ghazal main teri KHidmat kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.