charaghon ki kya zindagani rahegi
charaghon ki kya zindagani rahegi
KHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
MORE BYKHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
charāġhoñ kī kyā zindagānī rahegī
havā kī agar hukmrānī rahegī
chhatoñ par vahī phuul khilne lage haiñ
fazā muddatoñ zā'frānī rahegī
havā ke ishāroñ pe chalne lagī hai
ye kashtī to ab bādbānī rahegī
zabāñ bolne vaale kam ho rahe haiñ
to ab aage kyā be-zabānī rahegī
gharoñ meñ ujāle kā vā'da jo Thahrā
to bijlī hamīñ par girānī rahegī
nadī tishna-lab ko farāmosh kar ke
rahegī magar paanī paanī rahegī
na.e kūza-gar ko ye samjhā.iyegā
ki miTTī to apnī purānī rahegī
charaghon ki kya zindagani rahegi
hawa ki agar hukmrani rahegi
chhaton par wahi phul khilne lage hain
faza muddaton za'frani rahegi
hawa ke ishaaron pe chalne lagi hai
ye kashti to ab baadbani rahegi
zaban bolne wale kam ho rahe hain
to ab aage kya be-zabani rahegi
gharon mein ujale ka wa'da jo Thahra
to bijli hamin par girani rahegi
nadi tishna-lab ko faramosh kar ke
rahegi magar pani pani rahegi
nae kuza-gar ko ye samjhaiyega
ki miTTi to apni purani rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.