Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charaghon se hawaen laD rahi hain

Saleem Ansari

charaghon se hawaen laD rahi hain

Saleem Ansari

MORE BYSaleem Ansari

    charāġhoñ se havā.eñ laḌ rahī haiñ

    ki ḳhud bachchoñ se maa.eñ laḌ rahī haiñ

    nasheman to ujāḌe the havā ne

    shajar se fāḳhtā.eñ laḌ rahī haiñ

    na.ī tahzīb be-rah-ravī par

    purānī dāshtā.eñ laḌ rahī haiñ

    barahna ho ga.e kirdār saare

    ki aapas meñ kathā.eñ laḌ rahī haiñ

    jhagaḌ kar ho chuke haiñ dost bachche

    abhī tak māmtā.eñ laḌ rahī haiñ

    charaghon se hawaen laD rahi hain

    ki KHud bachchon se maen laD rahi hain

    nasheman to ujaDe the hawa ne

    shajar se faKHtaen laD rahi hain

    nai tahzib ki be-rah-rawi par

    purani dashtaen laD rahi hain

    barahna ho gae kirdar sare

    ki aapas mein kathaen laD rahi hain

    jhagaD kar ho chuke hain dost bachche

    abhi tak mamtaen laD rahi hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now