charaghon se ujala ja chuka hai
charāġhoñ se ujālā jā chukā hai
vo dekho jaane vaalā jā chukā hai
udhar mansūba-bandī chal rahī hai
idhar sikka uchhālā jā chukā hai
utar kar dekh in āñkhoñ meñ merī
samundar to khañgālā jā chukā hai
hai mazdūroñ kā vo ḳhuun aur pasīna
jo buniyādoñ meñ Daalā jā chukā hai
tumhārā yuuñ dalīleñ denā matlab
hameñ dil se nikālā jā chukā hai
charaghon se ujala ja chuka hai
wo dekho jaane wala ja chuka hai
udhar mansuba-bandi chal rahi hai
idhar sikka uchhaala ja chuka hai
utar kar dekh in aankhon mein meri
samundar to khangala ja chuka hai
hai mazduron ka wo KHun aur pasina
jo buniyaadon mein Dala ja chuka hai
tumhaara yun dalilen dena matlab
hamein dil se nikala ja chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.