charwaha bheDon ko le kar ghar ghar aaya raat hui
charvāhā bheḌoñ ko le kar ghar ghar aaya raat huī
tū panchhī dil terā piñjrā piñjre meñ jā raat huī
koī hameñ hāthoñ pe uThā kar bistar meñ rakh detā hai
duniyā vaale ye kahte haiñ sūraj Duubā raat huī
shahr makān dukānoñ vaale sab parde kirnoñ ne lapeTe
ḳhatm huā sab khel-tamāshā jā ab ghar jā raat huī
surḳh sunahrā saafa bāñdhe shahzāda ghoḌe se utrā
kaale ġhaar se kambal oḌhe jogī niklā raat huī
shaam ke saa.e zindāñ kī dīvāreñ ūñchī girne lage
phuul sā dil lohe ke panje meñ phir aaya raat huī
kis kī ḳhātir dhuup ke gajre in shāḳhoñ ne pahne the
jangal-jangal ro.e miirā koī na aaya raat huī
charwaha bheDon ko le kar ghar ghar aaya raat hui
tu panchhi dil tera pinjra pinjre mein ja raat hui
koi hamein hathon pe uTha kar bistar mein rakh deta hai
duniya wale ye kahte hain suraj Duba raat hui
shahr makan dukanon wale sab parde kirnon ne lapeTe
KHatm hua sab khel-tamasha ja ab ghar ja raat hui
surKH sunahra safa bandhe shahzada ghoDe se utra
kale ghaar se kambal oDhe jogi nikla raat hui
sham ke sae zindan ki diwaren unchi girne lage
phul sa dil lohe ke panje mein phir aaya raat hui
kis ki KHatir dhup ke gajre in shaKHon ne pahne the
jangal-jangal roe mera koi na aaya raat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.