chashm-e-ahu aur hai isko kahani aur hai
chashm-e-āhū aur hai is kī kahānī aur hai
jis meñ maiñ rahtā huuñ chashm-e-āsmānī aur hai
jis meñ tū shāmil thā vo kuchh aur thā tarz-e-hayāt
ab jo guzre jā rahī hai zindagānī aur hai
ghar ke andar jo huā vo vāqi'a kuchh aur thā
us ne jo sab ko sunā.ī vo kahānī aur hai
ātish-e-ġham ḳhāna-e-dil meñ bujhāne ke liye
aur ro lūñgā abhī āñkhoñ meñ paanī aur hai
tairne se Dūbnā ḳhush-tar hai dil kī naav kā
ġham kā dariyā aur hai is kī ravānī aur hai
ik ġhazal sun kar 'munavvar' vo bahut nārāz hai
ik manāne ke liye us ko sunānī aur hai
chashm-e-ahu aur hai is ki kahani aur hai
jis mein main rahta hun chashm-e-asmani aur hai
jis mein tu shamil tha wo kuchh aur tha tarz-e-hayat
ab jo guzre ja rahi hai zindagani aur hai
ghar ke andar jo hua wo waqi'a kuchh aur tha
us ne jo sab ko sunai wo kahani aur hai
aatish-e-gham KHana-e-dil mein bujhane ke liye
aur ro lunga abhi aankhon mein pani aur hai
tairne se Dubna KHush-tar hai dil ki naw ka
gham ka dariya aur hai is ki rawani aur hai
ek ghazal sun kar 'munawwar' wo bahut naraaz hai
ek manane ke liye us ko sunani aur hai
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 57)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.